Sunday, January 28, 2007

"meri shayari"

"hum jaante hain woh humare har sawal ka jawaab nahi de sakte...phir bhi kyun uss jawaab ki umeed hum rakhte hai?????hum jaante hai woh itna pyaar nahi karte humse...phir bhi kyun uss pyaar ki umeed hum rakhte hai??????hum jaante hai yeh lamhe kuch pal ke hai...par kaash yeh pal kabhi khatam na ho kyun iski umeed rakhte hai????"

"bahut logon ne saath choda hai humara aaj toh inn aansuo ne bhi saath chod diya....kehta hai thak gaye hai aansu baha ke ab toh aankhon se chalakna chod diya"

"phir ek baar aaj yeh dil ro raha hai...kisi ko apna na banana yeh keh raha hai....chot aisi khaiye hai iss dil ne ki...muskurahto mein bhi ro raha hai"

"unki yaad ko dil mein basaye jee rahe hai...kabhi toh woh wapis aayenge is jhuthi umeed mein jee rahe hain,zindagi ne aisa mazak kiya hai humare saath ki na jeena chahte hue bhi jee rahe hai"

1 comment:

Unknown said...

Kya baat hai?Damdar ant tha shayari (or ghazal?) ka.I feel good stories,articles and poems are those which end with a bang and I would say this ended with a bang.Keep writing.Apki to Hindi kafi achhi hai.